Paryavaran sudhar me sarkar ka yogdan

Bharat sarkar swachchata swasthya aur paryavaran ko behatar banane ke liye lagatar thos kadam utha rahi hai.

Chahe wo kuposhan jaise rastriya sharm ko dur karne ke liye "midday meal" ki bat ho ya berojgari ko dur karne ke liye "manarega" ya paryavaran ko behtar banane ke liye "paudharopan” ki bat ho. Hamare desh me har sal 5 sal se chhote, 4-5 lakh bachche  haiza, page, dayariya  jaisi khatarnak bimari se mare jate hai jiska mukhya karan khule me sauch karna hai.
"Saaf-safai keval swasthya se juda mudda hi nahi hai, balki yah jeevan, jibikoprjan aur in sabse upar maanviya garima ko bhi prabavit karta hai. Is samasya ke samadhan ke liye sarkar sampurn swacchata abhiyan chala rahi hai." - Jairam Ramesh (India Water Portal)
Isko dur karne ke liye bhi ek bar fir hamari sarkar ne thos kadam uthate huye "Nirmal Bharat Abhiyan" (NBA) lagu kiya hai jiska lakshya 2022 tak Bharat me puri tarah se khule me sauch pe rok lagakar swasthya aur paryavaran ko sudharna hai, aur iske karan bachcho me hone wali mrityu dar ko kam karna hai.


Parantu ab prasna ye uthta hai ki kya Bharat sarkar is abhiyan ko safal bana payegi? Kya isase pehle ab tak khule me sauch ko kam karne kek liye koi bhi abhiyan nahi chalaya gaya tha?

Hamari sarkar is abhiyan me safal ho yahi meri manokamna hai. Kyuki isase na to sirf swasthya aur paryavaran me sudhar aayega balki hamara deshwasiyo ka aatmsamman bhi badhega, jisase har pariwar, har samaj, aur har samuday ke logo ki garima me bhi ijafa hoga.

Ab jarurat hai is abhiyan ko safal banane ki, jisme mukhya bhumika har gram panchayat ki hogi, jisase is yojna ka labh har pariwar ko mile.

Itna hi nahi kae sarkari aur gair sarkari sangathano ko bhi aage aana hoga isase isame hone wale "SAUCHALAY GHOTALA" ko rok sake aur achchi gudatta wale sauchalay ka nirman sahi dhang se kara sake aur ya kam ham.

Sirf isame prayog hone wale cement balu aur eent ki quality aur prayog hone wale cement aur balu ka anupat ko jaanch karke kar sakte hai.

Ek pal ke liye man lete hai ke Nirmal Bharat Abhiyan safal ho gaya.

Kya keval khule me sauch ko rok dene matr se hi swasthya sudhar jayegi? Kya haija se marne wale bachho ki mrityu dar me sudhar aayegi? Nahi bilkul nahi. Bina swachata keprati jagruk kiye ham nirmal gram ki asha nahi kar sakte hai.

Kya Bharat sarkar is abhiyan ko safal bana payegi? (Source: Video Volunteers)

Hame har ek ke panchayat me jakar logo ko jagruk karna hoga, khule me sauch karne se hone wale dusparinamo se logo ko avagat karan hoga. Itna hi nahi sauchalayo ka sahi dhang se prayog kaise kare  iski saf safai. Iske liye bhi karshalaye lagakar logo ko protsahit karna hoga.

Iske bad bhi ek sabse badi samasa yah hai ki suchalay se nikalane wale mal aur gande pani ka niskashan aur nistaran kaise kare? Kyuki agar isake liye koi uchit upay na kiya gaya to sab kiya dhara mitti me mil jayega. Ham pehle jaha the fir wahi pahuch jayenge.

Sauchalay se nikala pani hamare jal star (water table) tak bhi ja sakta jisase ye hamare bhumigat jal (ground water) ke sath aa sakta hai. Isiliye iska bhi upay karna hoga tabhi ham nirmal bharat ki kam na kar sate hai.

JAI HIND.

Lekhak // Vijay Kumar ki ruchi Ganga-ji aur samajik karya hai. Apne gaun me Vishwa Paryavaran Divas (World Environment Day) abhiyan aur anya samajik karya ayojan karte hai.

Key Words: Abhiyan, Campaign, Nirmal Bharat Abhiyan, Health, Government, Jairam Ramesh, Blog, Media, Video, Water, Vijay Kumar
विषय // , , , , , , , , , ,

0 comments

एक टिप्पणी भेजें

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...