Mobile toweron radiation ka khatara

Mobile phone toweron se nikalne wale radiation ka khatara kam karne ke liye ek Sitembar se mobile companyon ko vikiran ka star 90 feesdi tak kam karna hoga. Sarkar ka kahana hai ki isse mobile tower se nikalne wali vikiranon se aam logon ke swaathya par pratikul asar sambandhi chintai dur hongi. Iske alawa companyon ko ab is baat ka khyal rakhna hoga ki unke tower ke aaspas koi ghar ya makaan na ho. - BBC

Mujhe nahi lagta ki radiation kam karne se ek aam admi ki samasya utni nahi badegi jitni ki mobile companies ki badegi aur mujhe lagta hai ki ye faisla bilkul sahi hai!!

Agar hum bhut aage na jaye toh sirf 10 saal pehle ki hi baat hai, kya duniya mobile ke bina chalti nahi thi ya aage nahi bad rahi thi... Aisa kuch bhi nahi tha toh phir kyun log aaj mobile par itne nirbhart ho gaye hai...

Kya hum mobile ke bina jivit nahi reh sakte aur waise bhi ye rule mobile ki vikran kam kiya ja raha hai usse band nahi kiya ja raha aur yeh toh ek anuman hai ki usse kamjor mobile network jaisi dikkate paida hogi par abhi aisa hua toh nahi hai na. Aur agar hoga bhi toh uss samasya ka samadhan nikaal hi liya jayega.

Parntu agar aisa na kiya gaya toh mobile phone se insaan ke swasthya ko hone wale hanikara nuksaan ka koi samadhan nahi nikal payega, wo kehte hai na if wealth is lost nothing is lost but if health is lost everything is lost.

Hamara mobile ka sukh bhogna itna zaruri nahi hai jitna hamara zinda rehna hai. Hum mobile ke kamzor network ke sath toh ji sakte hai parntu kamjor swasthya ke sath nahi.

Lekhak // Mansi Bakshi ke interests energy aur debate hain. Uska M.Sc. BHU se complete ho gaya hai. Usne Coca-Cola Company se industrial training kiya hai. Uska favorite movie Rang de Basanti hai aur usko sufi music pasand hai.

Nirdesh // BBCBiswarup Ganguly (photo)

Key words: Blog, Mansi, Mobile, Government, Environmental Health, Radiation, India
विषय // , , , , , , ,

0 comments

एक टिप्पणी भेजें

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...